95. Dil me jo aaye kah dijiye

Dil me jo aaye kah diya kijiye
Rasme ulfat ada kiya kijiye...
Kya kar rahe hai.. 
kahan hain kaise hain..
Itna to humko bata diya kijiye..
Jhulsi padi hai zindagi
Uljhano ki tapis me...
Kuch chehre dhoop me
chhaon ki tarah hain..
Apni Soorat dikha diya kijiye...

Meri khabar n len koi baat nahi
Apni khabar to de diya kijiye..
Aapka mera parwah ka rishta hai
Rasme parwah adaa kijiye..

94. Bina Tere Zindagi ka maksad kya hai

Bina tere zindagi ka maksad kya hai,
Jab sanson ke aane jane ki mohlat tum ho..
Ek lambi judai ke baad
Jab aayi tere aagosh me..
Tab jana baharon ki aahat tum ho...

Main kisi bhi rang me kahoon,
Har zuban me kahani tumse hai..
Meri tamannaon ki fitrat tum ho...

Bechainiyon me sukoon ho tum
Dard me raahat tum ho..
Tapte hue dil ka marham ho tum
Chichilati dhoop me thandak tum ho..

Kyu n meherbaan hoti Qainaat mujhpe
Meri khoobsurat aadat ho tum..
Ye sach hai ki main sabse Ameer hoon
Meri Duniyan meri daulat ho tum..

Bina tere zindagi ka maksad kya hai
Jab sanson ke aane jane ki mohlat tum ho...



93. Tera Muskurata chehra

Tera muskurata chehra 
meri Rooh ko asar deta hai...
Mere dil ko sukoon , labon ko
Muskurane ka hunar deta hai...
Bhool jati hoon har ek gham
Bas ek tujhe dekh kar..
Ek tera hona mujhe
Mere hone ki khabar deta hai...

Tamam raat tere bin
Jab simat ke roti hain tanhaiyan..
Ek pal ko tera pukarna
Mere dhundh ko seher deta hai..

Kar to liya hai shamil tujhe
Jab khud k wajood me...
Fir har guzarta lamha kyu
Tujhe khone ka dar deta hai...

92. Meri Khamoshi na samajh sake

Meri khamoshi na samajh sake
To Awaaz kya samajh pate...
Mera mann na padh sake
To alfaaz kya samajh pate....
Main kitni shiddat se Qurbaan thi
Jab ye nahi samjha...
Meri khwashion ka tum
Aaghaaz kya samajh pate..

Meri nazron me khud ki soorat
Jab pehchan n sake..
Meri mohabbat mere jazbaat kya samajh pate..

Hawaon ka chalna jab tumhen
Toofaan sa laga..
Tum mere hone ka Andaaz kya samajh pate...

Mere dil ki gehraiyon me , mere wajood me
Jhaank kar dekha hi nahi..
Mera haale dil mera mizaj kya samajh pate..

Tum mujhe dawa ki hidayat karte rahe
Meri bimari thi laailaaz kya samajh pate..
Koi hakeem n tha aisa
Jo mujhe thik kar deta...
Bas tum the mera ilaaz kya samajh pate.....


91. Jo dekhe hain meri aankhon ne

Jo dekhe hain meri aankhon ne
Un Khwabon ki tabir ho Tum..
Tum kaise n hote paas mere
Ye sach hai meri takdeer ho tum...
Lamha lamha piroya hai
Maine tumhen moti ki tarah..
Meri Saanson ki mala ho
Meri rooh ki zanjeer ho tum...

Fizaon ka Sangeet ho
Jhilmilati nadiyon ka neer ho tum..
Rang bharte ho meri kainaat me tum
Mere gulal mere abeer ho tum..

Mera hosla bas tumse hai
Meri himmat mera zameer ho tum..
Koun mita sakta hai
Mere wajood se tumhen
Mere haathon ki lakeer ho tum..


90. Mehka karo ban ke Khushboo

Mehka karo ban ke khushboo
Tum mere din raat me...
Jalte raho chiragon ki tarah
Khwaab me khayalat me...
Kaise rahu door tumse
Har pal to sath rehte ho..
Ban ke meri tamannaon ka samandar
Shamil ho jazbaat me...

Suron se saji mehfil ho Tum
Barson ki duaon ka hasil ho tum..
Ban ke meri khushiyon ka zaria
Tum mile mujhe saugaat me...

Kabhi berukhi kabhi wo manana tera
Kabhi mere liye mujhi se rooth jana tera..
Har lamha yaad hai mujhe
Jo guzara humne saath me...

Kuch aur sochun to sochun kaise
Kuch aur kahun to kaise kahun...
Bas teri hi to kahaniyan hain
Meri har ek baat me...

89. Koi baat buri nahi lagti

Ek lamba arsa guzarne ke baad
Zindagi ko karib se niharne ke baad
Ab mujhe koi baat buri nahi lagti
Sidha dil pe lag jati hai...
Dikhave ke rishton se oob chuki hoon
Apne daairon me doob chuki hoon
Zindagi safar hai aur main
Is safar ke us mukaam pe hoon jahan
Ab mujhe koi baat buri nahi lagti
Bas dil par lag jati hai...

Logon ko main bhi aazmane lagi hoon
Asli nakli chehre pehchanne lagi hoon
Apne jazbaat dikhane lagi hoon
Ab main bhi ye batane lagi hoon
Ki ab mujhe koi baat buri nahi lagti
Sidha dil pe lag jati hai

Kabhi kisi ke lafz dil me utar gaye
Kabhi lafzon wale dil se utar gaye
Bade rang hain zamane ke
Kya kahoon main..
Har rang pe bas chupp hoon main
Der lagi par jaan gayi hoon
Duniya ko pehchan gayi hoon
Sabka tana bana yaad hai
Par sach hai ki mujhe..
Ab bhi muskurana yaad hai
Dil jala ke haal poochte hain log ab bhi
Main kehti hoon sab thik hai par
Sach to yahi hai ki...
Ab mujhe koi baat buri nahi lagti
Sidha dil pe lag jati hai...

88. Jo batein tumhen acchi lagti thi

Jo batein tumhen mujhme acchi lagti thi
Aaj unhi se shikayat hai tumko
Jhank kar kabhi dekha nahi mere dil me
Aur kehte ho mohabbat hai tumko

Gairon ke mashware sar aankhon par
Mera mashwara khairat samajh kar
Dar kinar kar dete ho aksar
Aur kehte ho iski aadat hai tumko
Teri berukhi hans kar sah gaye
Sare duniya dari me bah gaye
Mere lamhe soone rah gaye
Kaise manu meri zarurat hai tumko

Kabhi samandar kabhi dariya rahe
Sare zamane se ruswa rahe
Tere sath fir bhi tanha rahe
Naa jane kiski hasrat hai tumko...

87. Hum kidhar jate

Sab kuch luta k jiske
daman me aake roye the....
Jab usi ne tanha chhoda
To kidhar jate...
Ye to accha hai ki
Muskurane ka hunar sikh liya..
Warna mar jate...
Khiza ki tarah meri shakh se patte
Kaash toot kar bikhar jate...
Kaun jane kisi mousam me hum
Kuch aur nikhar jate...

Tumne kaha hi nahi ki
Main bhi zaruri thi...
Warna hum chand pal
aur theher jate...
Kaun jane us raat ki 
Seher hoti ki n hoti...
Ujale na sahi hum 
andheron se sanwar jate...

Hayate mushkilat jis bhi rang me hoti
Aisa na tha ki hum darr jate...
Tumhen bas haath hi to
Thame rakhna tha mera
Hum har toofan se ubar jate...

Kaash mere arman bhi
Khushbu ki tarah hote...
Hawaon me bah kar
Fizaon me bikhar jate...
Tum door bhi hote to
Afsoos na hota
Meri Duaon ke kafile
Tumhen chhu kar guzar jate...
Meri Duaon ke kafile
Tumhen chhu kar guzar jate...


===================================

        ç PREVIOUS                              NEXTè

======================================

                                           YouTube


86...Mere humsafar.. ( Zindagi ka safar )

==============================

Kab pata chalta hai A Zindagi,
Zindagi ka safar
Jab tum sath ho mere Humsafar...

Nahi afsos mujhe gar,
Aasan h ho raah meri...
Unchi nichi pagdandi saheje,
Badi khoobsurat hai meri rahguzar..

Housle buland hain,
Darte nahi kisi imtehaan se..
Yahi to hai teri Mohabbaton ka asar...

Door door hi sahi par,
Sath sath chalte hain...
Kab juda hui hai kisi sahil se leher...

Khwab Aankhon me,
Zuban par ye dua rehti hai..
Bas yu hi kat jaye tere sath ye umar,
Mere humsafar ..
Mere humsafar...
Kab pata chalta hai A Zindagi,
Zindagi ka Safar...
Jab tum sath ho mere humsafar..
Mere hum safar..


 

         ç PREVIOUS                                     NEXTè

                                              YOUTUBE_LINK



Featured Post

95. Dil me jo aaye kah dijiye

Dil me jo aaye kah diya kijiye Rasme ulfat ada kiya kijiye... Kya kar rahe hai..  kahan hain kaise hain.. Itna to humko bata diya kijiye.. ...

Popular Posts