23. Khuda Ka Noor Hain ANKHEN...

==============================================

Kya kahu in aankhon ko ,
Khuda ka noor hain Aankhen...
Kisi ki yaad me ro den to,
Majboor hain Aankhen...
Chupa le koi khud ko, laakh pardon me..
Dil ka haal , padhti zaroor hain Aankhen...


Kabhi samandar se gehri,
Kabhi viraan kabhi khamosh...
Kabhi sitaron si roshan,
Kabhi roshni se door hain Aankhen...
Kisi ke liye Ahsas bhari,
Kisi ke liye banvas bhari...
Sabke liye hain kuch na kuch,
Sabka apna fitoor hain Aankhen..


Kabhi mohabbat ban ke royi,
Kabhi nafraton me barsi..
Khushi me chalki,gham me chalki...
Har lamha,naya suroor hain Aankhen...

Kabhi kabhi Diwangi,
Muskurane ki vajah kabhi..
Kabhi haar ka matam,
Kabhi kamyabi ka guroor hain Aankhen...



Kabhi samajhdaar badappan si,
Kabhi masoom ladakpan si..
Liye jazbaat alag alag,
Khoobsurat khuda ka noor hain ANKHEN....



 

         ç PREVIOUS                                          NEXTè


                          Youtube_Link

 

No comments:

Post a Comment

Featured Post

95. Dil me jo aaye kah dijiye

Dil me jo aaye kah diya kijiye Rasme ulfat ada kiya kijiye... Kya kar rahe hai..  kahan hain kaise hain.. Itna to humko bata diya kijiye.. ...

Popular Posts