Tanha hai Zindagi,Mere humraaz ban jao...Karni hain tumse batein,Mere Alfaaz ban jao...
Jo kisi ka n ho,Wo Andaaz ban jao...Meri nayi udaan ka,Aghaaz ban jao...
Mere Khwaabon ki,Haqeeqat ban jao...Meri Haqeeqaton ka,Mahaz ban jao...
Mere Zehen me,
Ghule mile raho...
Meri tanha dhuno ka,
Saaz ban jao...
Jiske noor se roushan,Rahe ye dil mera...Mere khazaane ka beshkeemti,Almaaz ban jao...
Mere harf chura lo,Mere jazbaat ban jao...Main rahoon khamosh,Tum meri Awaaz ban jao...
Mera wajood ban jao,
Mere sar ka Taaj ban jao...
Karni hain tumse batein,
Mere Alfaaz ban jao...
No comments:
Post a Comment